Saturday, March 28, 2009

vatan O vatan

vatan o vatan

mere ishq ko hawa dai..

parinda bana mujhe...

aur masjido mandiro..

kai upar se uda dai.

karinda hu tera...

labo se chumu ye sarjami

jalsai sarfarosho kai...

fir se mehka dai...

vatan o vatan..

mere ishq ko hawa dai...

gumnaam rakh beshaq..

gungai naujawano ki tarah..

bas ye lafz lahu kai ..

aawam tak pahucha dai..

bheedo main,batairo main...

darijo..mundaro pai....

milte hain ashiq..

har roj kisi ki baahon main

milte hain ashiq...

tu aashiqi watan ki

rago main dauda dai...

lahu gada ho jaye inka..

thodi si matti chata dai..

vatan o vatan

mere ishq ko hawa dai..

jo khud ko kamjor kehte hain..

unhein main samjhau..

yaa tuhi unhein samjha dai..

jo sar nahi uthta hain jurm kai khilaf...

behtar hain wo apna sar kata dai..

ye shayaro ka jamghat nahi...

inqalaab ki kalam liye hain hum..

jinhe shayi cahiye...

wo apna zamir tatolai...

aur tej dhar par badan fira dai...

vatan o vatan

mere ishq ko hawa dai... mere ishq ko hawa dai..

sawan aa gaya....

aaj bhi tumhari kamiz tang kar khunti par...
tumse baatein karti hu main...
jo darwaaje kai paas hain..
main yahi to khadi thi..
jab tum gaye the chod kar..
amavashya kai pure chand ko...

pehle pehle bahut ladti thi tumse...
na jaane kis baat par aaham tha...
tum chup thai ....
kyu kamiz nahi bolti hain...

namkin bundein girti hain labo par...
kya sawan aa gaya
khadi rehti hu bhigi ruh lekar..
khud ko ishq samjhati hu...
kajal hain gehra,thehri bundon se...
baadal cha gaya
kya sawan aa gaya

tujhe pujti hu...dhundti hu....
har jism main...
ruho ki jugalbandhi kab ho...
moksh mile...
cigrette ki khushbu abhi tak kayam hain ..
us raat kai musafir ki....
duniya kai liye..
ek veshya hu main...
ek veshya..
aur tere liye..
ek devdasi..