Tuesday, March 3, 2009

Chand

yu baraj kar malti ko..
wo khidki se samundar ko naap raha tha..
lahro ko maan main uth ti lehro se
moti bikher to diye ishq kai...
roja bikherta tha dane kabutaro ko..
nasamajh...
ye wo bhi samajh chuka tha...

jab palta
wo suhag chug rahi thi...
motiyon ki shakal main..
nazar uthai khidki par chand tha..
usne jhuk kar chuma usse..
aur kisi adhikar se le gaya...
chand dikhane..
ishq kai safed moti suhag main...
kale se chamak rahe thai...

malti chalni se do chand dekh rahi thi..
chand ne dekha un motiyon ko...
jinhein kisi nai nahi chuga..
jo khuch der pehle malti ki aankhon se gire thai..

prem ki umr
maan kai moti
sasta sodda...

yehi sochte hue malti nai..
ek chand ko pani diya...aur
ek chand kai hath se pani piya....