Thursday, January 29, 2009

......Wo ishq tha..

yu ishq ki pervi main
naam na sujha iss junoon ka
logo ne to afsaane kahe
kya kahi hain kissa
barish main behte tere khu ka..
wo ishq tha

chalni hote hain paatte suraj se,roj hi
aaj pattao sa kagaj rakhkar
hamare jamir kai samne
hamse hamari aukat puchte hain
wo aur baat hain
patto nai challa tujhe
kya kahi hain hisab
tere zamir ki bhukh ka
wo ishq tha

u girti hain ruh teri,chupchap
patghar main to paattee girte hain mujhse
log apni nazaro main,roj hi
naam azadi hain
aur bas tu azad
kya kahi hain zawab
teri tapakti ruh ka
wo ishq tha

(ye kahani hain un sheedo ki jinko fansi laga di gayi thi kisi ped par...aur ye kahani wo ped bata raha hain)

ibadat

khata to humse hui.
jo tumhe khuda samjh baith...
ab to dekhna bhi na bane..
..bas.ibadate khuda islam hain