Saturday, March 28, 2009

sawan aa gaya....

aaj bhi tumhari kamiz tang kar khunti par...
tumse baatein karti hu main...
jo darwaaje kai paas hain..
main yahi to khadi thi..
jab tum gaye the chod kar..
amavashya kai pure chand ko...

pehle pehle bahut ladti thi tumse...
na jaane kis baat par aaham tha...
tum chup thai ....
kyu kamiz nahi bolti hain...

namkin bundein girti hain labo par...
kya sawan aa gaya
khadi rehti hu bhigi ruh lekar..
khud ko ishq samjhati hu...
kajal hain gehra,thehri bundon se...
baadal cha gaya
kya sawan aa gaya

tujhe pujti hu...dhundti hu....
har jism main...
ruho ki jugalbandhi kab ho...
moksh mile...
cigrette ki khushbu abhi tak kayam hain ..
us raat kai musafir ki....
duniya kai liye..
ek veshya hu main...
ek veshya..
aur tere liye..
ek devdasi..

No comments: