Thursday, May 15, 2008

yaad....

pehli bund,pehli baarish,
wo pehla pegaam tha zindagi ka...
badi badi aankhen ,chota sa til..
wo hasin shabab tha zindagi ka...
zindagi nahi thi itni hasin ...
jab-jab giri pehli bund,,,
mujhe tum yaad aaye....

suljhi nazar ,uljhe baal....
wo ajib itefak tha zindagi ka...
nazare churana, jara sa muskurana...
wo shayrana andaaz tha zindagi ka....
zindagi nahi thi itni hasin...
jab jab shayar bane hum,
mujhe tum yaad aaye...

tilasmi kajal,wo bholapan...
wo pehnaava bemisaal tha zindagi ka...
main krishn....to radhika jaisi thi wo....
aur wahi naam tha zindagi ka...
zindagi nahi thi itni hasin....
jab jab li saanse maine....
mujhe tum yaad aaye....

No comments: