Saturday, January 5, 2008

time paas mat kar.........

kya cahta hu main...

mujhe nahi pata...

kya cahta hu banana khuda...

ya sirf beta meri maa ka...

ya baap har ustaad ka...

ya khwahish hai paise ki...

ya arjoo hai naam ki...

kitne jate hai roj,

kon puchta hai...

aane wala bhi bas..

puri umr duniya se jujat hai...

kon padhta hai namaj....

aur bhagwan ko bhi kon pujata hai...

log kehte hai kalyug hai.

aur main isse apna yug kehta hu....

karta hu wo jo hai mann main..

apni takdeer main roj khud likhta hu..

khuda kehta hai ki tu nahi meri duniya kai kabil....

agar sunta hai tu to sunn hai khuda.....

apni duniya basa li hain maine logo kai jigar main...

tri duniya main kon insaan rehta hai...

log kehte hai alag sa hu main....

ek falak sa hu main...

koi puche unse wo mujhe haar baat par kyu tokatai hai...

shayad mandee hai baazaaro main aajkal...

tabhi wo mere baare main itna sochte hai..

unhe bolo apna kaam kare...

khaye apna sahi bhoj aur aram kare...

main nahi hu logo kai pichau.

bata du main..

ek din banunga main badsah..

samjha du main...

jita to har koi hai..

par mujhe behja hai ek maksad se...

ye pehle hi jata du main..

jiske paas hai do kodi....

wo kyu karta hai itna gurur...

jab hoge khazane mere paas...

tab bhi sar jhunkaunga...

mann ki baat bata du main...

kyu kehte ho tum mujhe ugta suraj..

main to wahi rehta hu...

jaise cahta hu jeena waise jita hu...

par hai duniya tu kyu ghumti hai mere aage piche...

isse acha apne khuda kai piche ghum...

tera antarmann naram hoga..

cahe kuch mat karo tum karam..

fir bhi tujhe dharam hoga...

tu chod duniya ko...

tere baare main kon puchta hai...

kyu nahi karta tu wo kaam

jisse karne kai liye ....

tu tann.mann jhokta hai...

bana iss duniya ko aisa...

jaha par tu sartaj ho...

jee aise ki lage....

har taraf bas tera raaz ho...

koshish to kar .....

kuch nahi namumkin....

bas shuru kar yahi se..

jaise hum shuru karte hai...

roj naya din....

jeet lai...

jo cahta hai...

duniya bahut chooti hai...

bas hath bada aur lele...

jo bhi tera mann karta hai..

kodiyo kai bhav bikati hai insaniyat

kon puchta hai...

ye chod de khuda kai bharose...

sab tu hi mat kar...

khuda ka bhi khuch karne ka mann karta..

bas tu uth aur shuruwat kar nayi roj....

ye hai meri duniya ka uaool...

aur aise hi meri duniya ka karo baar cahlta hai....

No comments: