Thursday, January 29, 2009

......Wo ishq tha..

yu ishq ki pervi main
naam na sujha iss junoon ka
logo ne to afsaane kahe
kya kahi hain kissa
barish main behte tere khu ka..
wo ishq tha

chalni hote hain paatte suraj se,roj hi
aaj pattao sa kagaj rakhkar
hamare jamir kai samne
hamse hamari aukat puchte hain
wo aur baat hain
patto nai challa tujhe
kya kahi hain hisab
tere zamir ki bhukh ka
wo ishq tha

u girti hain ruh teri,chupchap
patghar main to paattee girte hain mujhse
log apni nazaro main,roj hi
naam azadi hain
aur bas tu azad
kya kahi hain zawab
teri tapakti ruh ka
wo ishq tha

(ye kahani hain un sheedo ki jinko fansi laga di gayi thi kisi ped par...aur ye kahani wo ped bata raha hain)

ibadat

khata to humse hui.
jo tumhe khuda samjh baith...
ab to dekhna bhi na bane..
..bas.ibadate khuda islam hain

Saturday, November 29, 2008

..............wajood

bulbula sa tha main....
par loh ka...
ek sawal tha jahan main...
jawab logo kai lab par hain
darr to lagta tha mujhe bhi
rooh meri bhi kayi baar kapi..
par tere waste watan
ye kuch bhi nahi..

saheedo ki jaat na mile..
gila kise
gila to iss bat ka hain...
tujhe par kurbaan hone kai liye..
ek janam
kuch bhi nahi..

sau baar janam de..
taki sheedo ho saku sau baar..
aur maksad jindagii ka
kuch bhi nahi..

jala do mujhe..ya dafnao...
rahunga hindustani...
aur wajood mera
kuch bhi nahi...

Wednesday, November 19, 2008

ISH.....Q

labo ko rakh kar shama par roshni ki tarah..
bujh gayi tre ishq main jugnuoo ki tarah...
jab lagi bandi to pal beetein sallo main...
aur dino ko jiya maine janmo ki tarah..

Friday, November 7, 2008

Satyagrah

yeh kothare ka santap..
mujhe un satyagraho ka abhas tha
jiske kisse meri dadi ne sunaye thai...
nehru si topi,kaanch ki goliyaan,nakli banduk...
mere satyagraho ka parinaam tha...
par aaj jab gaya kotharein mein main..
to na jaane kyu waha na prakash tha...
kiwad par hi kaan lage the mere,
jab dadi aayegi to thoda ruth kar khol dunga...
aaj kuch nahi mangunga bas..
unke gaalai lag kar ro lunga
veer sawarkar,bhagat singh,gandhi...
par na pariyon ki kahani sunayi thi mujhe...
desh ko pariyon ki nahi veero ki jarurat hain...
ye baat har kahani main samjhai thi mujhe
aaj ek pehar hone ko aaya
na hi chit shant hain..
iss aikant main na aikant hain...
yeh antim satyagrah ,pratham vedi kai saman tha..
aahat hui darwaaje par pitaji nai....
dadimaa kai antim sanskar kai liye bulaya tha...
pal main aankhein sukh gayi...
kyonki kal hi dadi maa ne mujhe
antim sanskar ka matlab samjhaya tha...

Sunday, October 5, 2008

kya bolu main?????

bhid se hi sab nikalate hain..
kuch log ismain pichein
aur kuch sabse aage chalte hain ...
aur yahi fark hain..
teri har baat main hindustan
kyu bas aage walo ka zikr hain...

khel

patharo wala wo ek khel tha....
aur meri bhudi nani mujhe...
usmain har baar jitati thi...
shayad apne bachpan main haari thi wo kayi baar....
isliye mujhe sone se pehle...
jitne ki nayi nayi tarkeeb sikhati thi...
ye patharo ki jeet ka matlab...
mujhe kab pata tha....
jab main gayi milne nani se parso....
meri jeet ka pathar ....
unki us kaat ki sanduk main abhi tak rakha tha...
maine pucha ab iska kya wajood hain...
nani boli dekh kar galiyare main...
pathar nahi ye teri kahani hain...
wo teri pehli jeet ...patan tha tere bachpan ka...
aisi jeet jiske baad upeksha khatam hi na hoti..
tu badti gayi..teri masumiyat jamin main jadti gayi...
kehne ko tune sab kuch paya...
par tere khone ki tees tere dil main badti gayi...
sochti hu kuch paane kai liye khud ko harna.....
kaha ki jeet hain...
par meri bacchi......
duniya aise hi chalti hain....
aur iski yahi reet hain....
abhi bhi amal hriday ki tees teri aankhon main ansu laye hain...
jaise rote hain bache subak subak kar....
jab tu ro di to....to kyu log baat banaye hain....
utha ye pathar dubara shuruwat kar....
jeet haar ka ye dhong chod...
antarmann ko shant kar...
jaise nachta hain mor sawan main...
aise nach kar.....
(aur aise wo ladki wo pathar utha kar subakti hui apne khoye hue dino aur pallo ko samaithane kai liye nikal jati hain.....nani nai kal hi wo pathar paas ki dukan se uthaya tha)

Tuesday, September 16, 2008

bejaan naujawaan

ladakpan main hath sai jaise pathar fisal jaya kartai hain.
nojawaan jawani main aise hi behak jaya kartai hain....

hitler,gandhi,guvera
aur na jaane kis kis kai pichai pade hain ye.....
khush bahut rehtai hain....
par kya wajah hain....
aur kis mod par khade hain ye
aur inn modo par hi aksar
chaka chond kai bich
ye diwanai kho jaya karte hain
bandh rehte hain ye khule maidano main....
ye bhagtai hain band makano main...
aur kabhi kabhi aankein khol kar
ye sapne sajaya karte hain.

ladakpan main hath sai jaise pathar fisal jaya kartai hain.
nojawaan jawani main aise hi behak jaya kartai hain....

badlav bolnai se aata to har koi lata....
raat ko bol kar sota ....
aur subah desh uske jaisa ho jata....
we don't have power to do things...
aise hi wo chai ki chuskiyaan lagaya karte hain....
roj karte hain baatein badlav ki
aur baad main khud hi badal jaya kartai hain....
ban kar ek jhuki hui reed desh ki....
kisi gumnaam madiralay ki maiz par.....
desh ki galtiyaan ginayaan karte hain...

ladakpan main hath sai jaise pathar fisal jaya kartai hain.
nojawaan jawani main aise hi behak jaya kartai hain....

Wednesday, September 10, 2008

wo insaan...

baikadar sa iss gadar main khada hu main....

bananai behtar na jaane kitni baar khud se lada hu main....

aab jaisa hu main mujhe uss main sabr hain...

wo dekh waha mod par baayi taraf....insaaniyat ki kabr hain...

jab lagte hain majmain iss par....

to naa jaane kyu aandar ka devta rota hain...

sota nahi hain yai khuda ishq main...

bas aankhein mudanai ka dhoong hota hain....

jab chalta hain ye charkha galiyarai main baith kar........

to duniya dolti hain....

mere beintehaa ki na intehaa hain...

ye mere tujhse ishq ki har wajah bolti hain.....

Monday, June 23, 2008

Baibaat.......

baibaat jo hum tumse itna keh gaye....
hamare arma to ab bhi dil main reh gaye....

hum aaye jo babasta nazzaro ki bisat par...
raank ban kar dafan ho gaye jakham se...
aur hamare lafaz to payaddo se deh gaye....

baibaat jo hum tumse itna keh gaye....
hamare arma to ab bhi dil main reh gaye....

Friday, June 20, 2008

ye priit.......teri

bhor se ulag pade kyu....hum aankhein maltai maltai....

le aayi tu aaj fir ek naayi jindagi....

ye pritt ki parchai si raat ka milan bhor se...

ye aankhe gharayi se jo mili ek chor se..

ye kal kal...tha chal chal....ye jiwan ka pahiya...

ye subhaan wo shaame .....wo aakeli si naayiyaan...

nahi bhul pata hu uski wo baatein...

wo maati si kasamain ...kacche dhage se naatein....

machalti .....larajti....

wo hi thi jindagi....

bhor se ulaj pade kyu hum aankhein maltai maltai...

le aayi tu aaj fir ek naayi jindagi....

Saturday, June 14, 2008


wo kone kagaz kai jo jal gaye....agar tum aag na bujhate to gajab hota....

jo raaddi kehte hain iss falsaafe ko,
ilam nahi unhe meri tanha raaton ka,
ek ek raat ka lankho main hisab hain,
itni mahangi hain meri tanhai...
agar tum daam na lagate to gajab hota..

wo kone kagaz kai jo jal gaye....agar tum aag na bujhate to gajab hota....

ye kagaz jo jal gaya kone se...
mere jazbaat hain inmain kaaid...
inmain meri jawani kai din char hain...
wo jo biik gaye lekar khuda ka naam...
unn logo kai naam yaad hain...
badi achi kaati meri jindagii...
.agar tum yaad na dilate to gajab hota...

wo kone kagaz kai jo jal gaye....agar tum aag na bujhate to gajab hota....

Thursday, May 15, 2008

yaad....

pehli bund,pehli baarish,
wo pehla pegaam tha zindagi ka...
badi badi aankhen ,chota sa til..
wo hasin shabab tha zindagi ka...
zindagi nahi thi itni hasin ...
jab-jab giri pehli bund,,,
mujhe tum yaad aaye....

suljhi nazar ,uljhe baal....
wo ajib itefak tha zindagi ka...
nazare churana, jara sa muskurana...
wo shayrana andaaz tha zindagi ka....
zindagi nahi thi itni hasin...
jab jab shayar bane hum,
mujhe tum yaad aaye...

tilasmi kajal,wo bholapan...
wo pehnaava bemisaal tha zindagi ka...
main krishn....to radhika jaisi thi wo....
aur wahi naam tha zindagi ka...
zindagi nahi thi itni hasin....
jab jab li saanse maine....
mujhe tum yaad aaye....

mera anjaam....

koi nahi sikwa mujhe iss kabr se,
nam hain kyu aankhein meri tere zikr se,
ab bhi likhta hu main tera naam........
aur mitata hu,
apni charo mulaqto ka zikr logo ko ,
kayi bar sunata hu,
kyu meri soch aaj kal simat gayi tere naam tak...
kya yeh anjaam hain,
ya yahi safar hoga anjaam tak...

Sunday, May 4, 2008

Kill Me........God.....


standing outside......
burning inside....
feeling the things
i never felt before...
he came to me...
with his sword....
asking life ...
for ton of gold...

i was loyal....
but a human...
can't say for sake...
he was the one...
never pleaded,
why do so...
looking at him...
my breath on hold...
pleading my life...
for ton of gold...

he holded my hand...
face was blank...
i think he was saying....
never saw a human..
with this strength...
he was helpless....
feeling disgraced...
he was people's lord..
my friend god....
wanted to kill my dream...
begging my life...
for ton of gold...

he saw me...
asked me wish...
life was beautiful...
wish could be bliss..
he was in hurry...
sword on my head...
waiting for me...
uttering a trash...
he was the lord...
taking my life...
for ton of gold...

i said to him..
i had no doubt...
i had one dream...
need to speak out..
life was just reason...
u can kill me any season...
aim ur sword....
but god,consider the story....
kill me anytime.......
not for gold..............
but for glory...........

Friday, April 18, 2008

i am air............my love


go and sleep
you will see me in dream
shut your eyes
will feel me in their press
think about things
you will mesmerize me in your thoughts
grab the pillow the way you do
you will get my touch
in your every breath
you will seek my warmth
listen your heart beat
you will know your reason to to live
don't open your eyes
you kill me
when you look at me,
i am in air my love
watching you............

Tuesday, April 8, 2008

tu hi kyu udas hain ye gum to sab kai paas hain...
jeeta hain jo umr bhar ujaale kai liye usse kya pata suraj kitni paas hain
bas dekhne ka hisab hain..

jo rote hain umr bhar...wo khote hain umr bhar..
main nahi khuda kehta hain..
khuda kai lafjo par to jara goor farmao yaaro
apni jindagi ko na namkin panio main bahao yaaro
rone se nahi milti siyasat...
na milta kisi ka pyar....

Monday, March 3, 2008


wo jab bhi gaam main so gaye.....
unhe kya pata qayamat tak charche ho gaye.........

jab ek bund giri unke chaksh se........
to dariyaan bhi beparwah ho gaye........

aur ek din jab tum bhul gayi itrana ..
tumhain kya pata khuda tak kayal ho gaye.....

jab mund li unhone aankein ............
to swarg main kyu aandhera ho gaya.......

jab wo ruth gaye hamse kisi cahat main ..
to unhe kya pata khuda bhi humse ruth gaya........

jab darpan ne bhi na dekha tumhain aaj..
to har mandir mandir darpan ho gaye......

jo sajati thi roj tumhare naino main kajal,
jab tum bhuliusse ek din....
khuda kai samne uske bhi sawaal khade ho gaye...

kyu bhool gayi wo raste tum.
kya pata hai tumhe.
tumhare bin wo raste bhi raah bhul gaye,.......

kyu kho diya tumne apni usss zindadillii ko.......
jo rehte the khush tumhain dekh dekh kar....
ab to wo bhi hasna bhul gaye........

insaan ki fakiri ka wajood ho tum....
ye dil kaba hai tumhara....
aur iss kaba kai hazzaro fakir ho gaye.........

caha maine tumhain kya gunaah tha mera..
ki ab to haar gali main......
mere katil ho gaye..............

Friday, February 15, 2008

dastaan.......ek saheed ki......

Main hu ek insaan ,

chal pada seemo se prakrati ki,

milne dusri pridhi se,

ek aashique hu main ,

ya hu koi jogi,

ya rehna man-moji kaam hai mera,

ya hu pyaas ka bhogi,

jab nikla main tivar roop tha mera,,

badta main tej main,

wo to bhyankar roop tha mera,

tab to log kohraam kare,

mere rang roop ko salam kare.


Jab pahucha main kisi khoj main ,

khule maidano kai sanjog main,

main kyu natmastak ho gaya,

bhul gaya apna tej,

kyu madham ho gaya,

kya ye mera pranam tha ,

ya khof tha prakriti ka,

bahut bada sa vistrit ho gaya,

kyu bhol gaya main bachpan,

kya main kahi khule sapno main kho gaya,

mujhe tum bas yahi rehne do..

sapne main khoya hu ,

muhe mat roko .

bas khone do......



Ye kaha pahucha main ,

ye lo bandh diya meri soch ko ,

duniya ki khwahisho ne,

simat gaya hu main,

ab to khawhishon ki simain bhi bandhi hai,

ye to ajeeb vidambana hai,

kyu ye mujhe jakade ja rahi ,

meri soch ko chota karti ja rahi hai,

kitna ladu main iss duniya se,

aakela pad gaya hu main,

maar-maaar takaaar diwaro se,

kayi baar bikhar chuka hu main,

nahi hara hu main,

par kyu haar gayi kismatmeri,

kyu loogo ko bhi jeene kai loye hai cahat meri.



Ab to dum ghuta hai,

jee rahu hu ek sanduk main,

naaa saans aati hai,

na jaan jati hai,

kyu rehta hu main,

roshni ki bhuk main,

chale ja rahu ,

bin soche bin jaane,

nahi pata anjaam ka,

sab bhagwan ne kiya hai,

sochta hu main,

to fir main kyu naam lu bhagwan ka,

hogi subah kabhi na kabhi,

ye sochta hu main,

chup chap jeene ki saaza bhogta hu main.




Lo hua savera,

jaag raha hu main ya kismat meri,

lo pahuch gaya manjil par,

karne insaan ki kidmat,

uchal pada main nikal pada,

hone teri sewa main nichawar,

main chal pada,

itne saalo chala main,

insaan kai sirf ek shan kai liye

ho gaya kurban,

kya main saheed nahi hu,kya mujhe haq nahi topo ki salami ka,ya insaniyat pe marna,

desh par marne se kamjor hai,

ya khatam nahi hua abhi bhi insaniyat ka daur hai.



Lo chal pada milne apne atit se ,

ek saheed ko diya diya aisa inaam,

gum ho gaya gandagi main,

bhul gaya apna majhab apna naam,

mil bhi gaya atit se to kaun puchta hai,

aajkal kaun apne se bade ko bujurg sochta hai,

ub gaya hu main sona cahta hu.

main fir se apne sapno mai khona cahta hu.....


(ye dastaan hai nadi kai pani ki................)

ek khawhish......

ek khawhish hai tujhe pyar karu,

har ek lamha didar karu,

mere khawbon main tu ek raaz si........

meri aankhon main ek aandaaz si...

behti rehti hai meri saanso main..

tu hi rehti hai meri baaton main.....

to kyu na main intezaaar karu.......

ek khawhish hai tujhe pyar karu .....

har ek lamha didar karu....