yeh kothare ka santap..
mujhe un satyagraho ka abhas tha
jiske kisse meri dadi ne sunaye thai...
nehru si topi,kaanch ki goliyaan,nakli banduk...
mere satyagraho ka parinaam tha...
par aaj jab gaya kotharein mein main..
to na jaane kyu waha na prakash tha...
kiwad par hi kaan lage the mere,
jab dadi aayegi to thoda ruth kar khol dunga...
aaj kuch nahi mangunga bas..
unke gaalai lag kar ro lunga
veer sawarkar,bhagat singh,gandhi...
par na pariyon ki kahani sunayi thi mujhe...
desh ko pariyon ki nahi veero ki jarurat hain...
ye baat har kahani main samjhai thi mujhe
aaj ek pehar hone ko aaya
na hi chit shant hain..
iss aikant main na aikant hain...
yeh antim satyagrah ,pratham vedi kai saman tha..
aahat hui darwaaje par pitaji nai....
dadimaa kai antim sanskar kai liye bulaya tha...
pal main aankhein sukh gayi...
kyonki kal hi dadi maa ne mujhe
antim sanskar ka matlab samjhaya tha...
No comments:
Post a Comment