ye narayan kaudinya aur sumit verma
kai ek chat ki kuch lines hain jo mujhe bahut pasand hain....
narayan.kaudinya:
tera:albaatta unke charchai roj nahi hote hain..unke charche roj nahi hote hain
mera : albaatta unke charchai roj nahi hote hain..unke kisse roz nahi sunte hain
sumit verma: teri marzi mere bhai..jo main likh deta hu usse ched chad nahi karta
warna shabd bura maan jaate hain
narayan.kaudinya: sabd kabhi bura nahi maante dost.. unko hamesha ek acche peerone waale kee zaroorat hoti h.. dhaage toh badalte rehte hain
sumit verma: dhagge bhi kayi rango main aate hain..aur maine kayi baar sabdo ko kisi khas rang se muhh churate dekha hain..
maine itihaaas to nahi..par haan..shabdo ka mujh par vishwas dekha hain
narayan.kaudinya: zabardasti jab hoti hain..shabd tab bura maan kar rooth jaate hain... ek doosre se tab woh male nahi khaate hain
nazar badli toh nazare badle..kishti ne rukh badla toh kinaare badle
sumit verma: un kinaro ka kya bharosa jo har baar samundar main kho jate hain...aaj hum baji lagate hain un kinaro ki..jaha hamein wo mil jate hain...hamare liye aansu bahate hain..samunder idar bhi hain udhar bhi...apni kalpanik naav se utharo mere dost..chlo aaj uss bhuri aankhon wali kai samunder main kho jate hain...
narayan.kaudinya: mujhe nahi khone kisi bhoori aankh mei.....jo mujhe aur band hokar kisi aur ko dekhein...kinaarein kahan jaate hain..naao hai..jo door bhi jaati h..aur paas bhi aati hai
sumit verma: naav mat ban...kinara ban...jaha akhir kar har ek naav aati hain
narayan.kaudinya: bhenchod..... dono kee taraf mat reh....upar bola naao unn kinaron kaa bharosa kya....naao ko kalpanik bata raha h........ saaale yaha kehte hain keenara banein... saale....
:)
love you man.....
mujhse kya chupaayega...
leekhne ke liye mat likh....receptive bann... accept kar....
mujhe ..apne dost ko hara mat...
upar utha...
sumit verma: haahahahahahaha,....abe ab meri baat sunn....aankon main dub kar mujhe ab kinarae par hi rehna hain uske sath..naav aati hain jati hain...agar wo itni hi shant aur khush hain to wo kinarein par kyu aati hain..
kinarein nai mujhe dubana sikhaya hain..samundar main....uski aankon main
narayan.kaudinya: accha sawal hain.. par jawab mushkil nahi hain.... hum naao hain..yaani kee mard... kinara hai hamari aurat jaat.......samjha ya aur samjaaun
zaroorat ek doosre ko ek doosre kee hain..
dono nahi jee paate haain ek dooje ke bina
sumit verma: main to ye kahunga mere yaar....kinara hain shant ruh....samunder hain chanchal mann..aur naav hain hum..hum kitna bhi chanchal maan main gotai lagatai rahe ..hame akhir kar sukoon to kinare par hi aata hain..aur kinare par reh kar samunder main dubki lagane ka mauka sab ko nahi milta..mujhe bas un bhuri aankhon main hi apni naav chalani hain..kahi nahi jana..
narayan kaudinya:.tu behak gaya hain salle.....so jaaa....tere sapno main aayegi wo teri radha...mere baanke...good night
sumit verma:good night...brother
No comments:
Post a Comment