aeh khuda insaaf kar.....
bas tu aaj meri zindagi ka hisab kar........
kyu main tadapata hu is sard main......
kyu leta hu uska naam is dard main.....
kon hai wo..........
jo main usmain kho gaya......
suna tha maine kahi......
dard main rona dawa hai........
ye teri duniya jhooti hai saari......
roya bhi bahut........
socha tha ki wo aayenge chup karane....
par wo nahi aaye ......
nigahein thi meri raaste par raat bhar.......
aur pata nahi main rota rota kab so gaya....
wo nikal gaye dabe pavon.......
tune unhe na bulaya awaaj se........
isliye tujhse khafa hu main......
aeh khuda insaaf kar.....
bas tu aaj meri zindagi ka hisab kar......
eh khuda tujhse kehni mujhe ek baat hai.......
waise bada khush hu main........
ye mat sochna main tujhse darta hu.....
jo beh gaye bina baat mere liye unke aansoo....
main to unke aansoon ki kadar karta hu........
tujhe ilaam hai is baat ka ki main cahta hu unhe khush hardum........
to fir tu unki kyu nahi parwah karta hai......
jab hote hai wo gum main.......
tab tera ye dost bhe gum main rehta hai.......
tu kyu unhe gum deta hai.
kafa hu main....
aeh khuda insaaf kar.....
bas tu aaj meri zindagi ka hisab kar......
kahi tu ye na samjhe main usse pyar nahi karta....
karta hu,par kabhi ijhaar nahi karta......
kyu karu.....
jabaan dono kai paas hai.....
par laggam tere
jab bhi kinara karti hai uski aankhein....
to tujhe kya pata........
pathar hai tu.........
mujhe bada malaal hota hai..........
kuch nahi kehta hu kisise..........
par mujhe apne jeene par sawal hota hai...
khuda bane ghumta hai tu........
kya sochta hai kya dhundta hai tu.......
lagaam ka istaimaal kar......
warna ye dost gaya to wapas nahi aayega....
nahi chodta main kisi ko zindagi ki rah main.......
kafila banane ki aadat hai mujhe...........
par yaad rakhna tujhe chod diya to tu pachtayega.........
abhi bhi waqt hai.........sath de mera........
agar tut gaya main to aanssuu rok nahi payega........
yaa fir bandh le gungaroo aur nach kar.......
duniya chalani mujhe bhi aati hai.......
par meri duniya main koi bhi aashik be-maut marra na jayega........
kyu tu kar raha hai gairo ki tarah sitam........
bachpan se yaaar hai hum........
ek baar fir apne yaar ka sath de.......
bas mujhe is banwaar se nikal de........
ya fir ek kaaam kar........
aeh khuda insaaf kar.....
bas tu aaj meri zindagi ka hisab kar......
chal chod kya puchega kaisa hu main......
acha hi bolte hai sab..
aur ishi tarah acha hu main......
jab bhi yaad aati hai uski......
tanhayion main usse dundta hu.......
jab bhi kabhi wo aati hai sapno main.......
main raat ko lambhi karne kai tareekein dhundta hu..........
kyu tere raaj main sab kaam samay par hota hai......
kyu na sooraj us din do pehar aur der tak sota hai....
aa jaata hai roj subah.........
kya ye kabhi apni life se bore nahi hota hai.........
tu bata mujhe kya wo bhi kabhi mere baare main sochti hai........
kya wo bhi apne aansu kabhi hath aur kabhi takiyein se pochti hai............
kya wo bhi abhi gumsum baith kar kho jati hai...........
kya wo bhi kabhi chand ko dekhte dekhte so jati hai........
kya wo bhi kabhi tahlti hai milo tak...........
kya wo bhi kabhi leti hai mera naam bin baat.......
kya wo bhi kabhi sochti hai mujhe din raat.........
kya usse bhi parhez hai hassi se..........
kya wo bhi parriyon ki kahaniyon main kho jati hai........
kya usse bhi har surat meri tarah lagti hai.........
kya wo bhi raaton main bin baat tehalti hai.......
kya ussse bhi nafrat hai bheed se......
kya wo bhi thak jati kabhi kabhi mere bare main bol bol kar.........
apne dil kai raaz aaienein kai samne khol khol kar.........
kya kamre main rehna bandh uska bhi sahunk hai........
o logo kai khuda tu soya to nahi.........sunn.........
kya kamre main rehna bandh uska bhi sahunk hai.......
agar haan..to dost usse bhi meri tarah ishq ka rog hai.........
aur agar nahi to..........maaf kar..........
bas khamosh reh........aur meri agali baat par gaur kar........
har baat yaad hai mujhe un dino ki.........
jab wo chalte the mere ban kar humsafar......
pal ko kon sochta......... na ghantoo ka hisab tha.........
ki thi hamne kayi saari baatein ek din.........
par meri sari baaton ka to bas wo hi jawab tha.......
tujhe sab pata tha.......hai na khuda........
fir bhi tune kyu na mere sath insaaf kiya.......
ab bhi mauka hai ........gunhaah kabul kar.......
meri ye zindagi na uske bina fizool kar.........
warna tujhse fir se ho jaunga kahfa ........
aur mangunga hisab.........
darr hai khuda............
aaj tu mujhse darrr........
No comments:
Post a Comment